ghurbat ka ab mazaq udane lage hain log daulat ko sar ka taj batane lage hain log tahzib-e-shahr kitni badal di hai waqt ne apni riwayaton ko bhulane lage hain log allah un ki aql ka parda zara hata phir apni betiyon ko jalane lage hain log had ho chuki hai ab to mere inkisar ki kamtar samajh ke mujh ko satane lage hain log ilzam sara apne muqaddar pe dal kar nakaamiyon ko apni chhupane lage hain log sachchai ka alam mere hathon mein dekh kar basti mein kitna shor machane lage hain log maujon se ladte ladte jo sahil tak aa gaya ehsan us pe apna jatane lage hain log