ghuTi ghuTi hi sahi meri chah le lena

ghuti ghuti hi sahi meri chah le lena
safar tawil hai kuchh zad-e-rah le lena

main be-samar hi sahi phir bhi saya-dar to hun
kadi ho dhup to mujh mein panah le lena

abhi to sath chalo han jahan main ruk jaun
tum us maqam se phir apni rah le lena

kisi maqam pe mumkin hai kaam aa jae
hamare bich jo thi rasm-o-rah le lena

wo kam-sawad sahi phir bhi ye nahin aasan
ghanim-e-dahr ke sar se kulah le lena

yahi bahut hai ki is daur-e-ibtila mein 'taqi'
kisi ka meri khabar gah gah le lena


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close