gila nahin ki mukhalif mera zamana hua main khud hi chhod ke kar-e-jahan rawana hua main ab chala ki mera qafila rawana hua kabhi phir aaunga wapas jo aab-o-dana hua main bil-mushafa nahin jaanta kisi ko yahan ki mujh se mera taaruf bhi ghaebana hua hawa-e-gul bhi na pairon ki ban saki zanjir bahaar mein bhi na ab ke koi diwana hua jo reg zer-e-qadam aai ban gai sabza ghubar sar pe jo aaya to shamiyana hua kisi ko nok-e-sinan bhi zamir ki na chubhi kisi ko ek ishaara hi taziyana hua zamana khinch ke na kyun us ke pas jaega wo aali-jah hua sahib-e-khazana hua baras rahi hai meri chashm-e-nam to barson se tahi na abr-e-guhar-bar ka khazana hua nazar mein sab ka ye manzar samet lo 'mohsin' sahar qarib hai ab khatm ye fasana hua