gili mitti se badan bante hue umr lagi mujh ko sahra se chaman bante hue umr lagi pukhtagi fikr mein yak-lakht kahan aati hai meri sochon ko sukhan bante hue umr lagi ibn-e-adam ki hawas se mili sadiyon mein najat bint-e-hawwa ko dulhan bante hue umr lagi farq haalanki bahut thoda hai donon mein magar sar ke aanchal ko kafan bante hue umr lagi hum to samjhe the wo mahkega gulon ki manind par use ghuncha-dahan bante hue umr lagi chand lamhon mein taghayyur ye nahin aaya hai chhal ko duniya ka chalan bante hue umr lagi main to bas itna kahunga meri mayusi ko 'shad' aasha ki kiran bante hue umr lagi