gir ke qadmon pe sar-e-bazm tadapna dekha marne wale ka meri jaan tamasha dekha ek jahan tera tamashai hai sab ko hai khabar aaina dekh ke mujh ko ye bata kya dekha khol kar nama mera us ne padha bhi ki nahin nama-bar meri taraf se use kaisa dekha dil jise kahte hain pahlu mein kabhi wo hoga hum ne to dil ki jagah dagh-e-tamanna dekha kaun kahta hai ki shohrat tere aashiq ki nahin us ko to kucha-o-bazar mein ruswa dekha aaina-khane mein nikla na koi tera jawab yahi kahta tha mohabbat ka taqaza dekha tum to masruf rahe husn ki aaraish mein hum ne aaine mein kal ek sitam-ara dekha jal gaya tur gire hazrat-e-musa ghash mein kya kaleja tha ki jis ne tera jalwa dekha ishq ki ye bhi karamat hai agar tum samjho tum ne apna meri aankhon mein samana dekha tiktiki bandhe hue dekh raha tha tum ko tum ne 'shankar' ka bhi mahfil mein tamasha dekha