gir paDe dant hue mu-e-sar ai yar safed

gir pade dant hue mu-e-sar ai yar safed
kyun na ho khauf-e-ajal se ye siyahkar safed

do qadam fart-e-nazakat se nahin chal sakta
rang ho jata hai us ka dam-e-raftar safed

us masiha ki jo aankhen huin gulzar mein surkh
ho gai khauf se bas nargis-e-bimar safed

gul-e-nasrin ko nahin josh chaman mein bulbul
hai nazakat ke sabab chehra-e-gulzar safed

ghar mere shab ko jo wo rashk-e-qamar aa nikla
ho gae partaw-e-rukh se dar o diwar safed

lab o dandan ke tasawwur mein jo roya main kabhi
ashk do-chaar bahe surkh to do-chaar safed

hui sarsabz jo sohbat mein 'amanat' ki ghazal
rang dushman ka hua rashk se ek bar safed


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close