giraft-e-karb se aazad ai dil ho hi jaunga

giraft-e-karb se aazad ai dil ho hi jaunga
abhi rasta hun main ek roz manzil ho hi jaunga

utar jaane de wahshat mere sar se habs-e-khalwat ki
main bit-tadrij phir manus-e-mahfil ho hi jaunga

gire gar mujh pe barq-e-iltifat-e-chashm-e-tar har dam
to main bil-jabr teri samt mail ho hi jaunga

ba-sad tarkib rakkhe hain qadam tartib se main ne
agar tartib ye bigdi main zail ho hi jaunga

mata-e-jaan to meri zat ka hissa hai ek din main
tu mil jaega to insan-e-kaamil ho hi jaunga

meri mazlumiyat ki raushni har-su bikharne de
sar-e-maqtal main pesh-e-tegh-e-qatil ho hi jaunga

zara sa thahar jaen be-khudi ki muztarib maujen
ai dasht-e-gham main ek khamosh sahil ho hi jaunga

payambar dard ka ban ke tu gar duniya mein aaega
sahifa ban ke ashkon ka main nazil ho hi jaunga

kaha us ne qarib aa kar 'nadim' ashaar ki surat
rag-e-afkar mein teri main shamil ho hi jaunga


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close