giraft-e-saya-e-diwar se nikal aaya main ek umr ke aazar se nikal aaya na jaanna bhi to ek jaanne ki surat hai ajib rukh mere inkar se nikal aaya main apni qimat-e-ehsas ke jawaz mein tha so ye hua ki main bazar se nikal aaya abhi ruke bhi na the hum padaw ki khatir naya safar nai raftar se nikal aaya samajh rahe the kahin dafn ho gaya hoga wo khauf phir dar-o-diwar se nikal aaya main chup hua to use bolna hi tha ek din wo zinda harf lab-e-dar se nikal aaya kisi khayal se kya kya khayal jag uthe ye shaghl lamha-e-bekar se nikal aaya