girah jo kaam mein dale hai panja-e-taqdir majal kya ki khule wo ba-nakhun-e-tadbir dila tadaph ke tu nikla pade hai sine se ye ghar ujad na ai ghar base pakad tuk dhir shab-e-firaq mein jaanan ki main raha jita ki sakht-jaan hai mujh ko hijab daman-gir lab us ke dekho to hai zulm-o-khun khuri ki dalil siyah misi pe nahin surkh pan ki tahrir ye phenk tir-e-nigah ji se mar dalen hain batao kar sake be-jaan sitam ki kya taqrir tuk aankh utha ke jo dekha nazar se de patka na thi ye 'azfari' itni gunah ki tazir