giran guzarne laga daur-e-intizar mujhe

giran guzarne laga daur-e-intizar mujhe
zara thapak ke sula de khayal-e-yar mujhe

na aaya gham bhi mohabbat mein sazgar mujhe
wo khud tadap gae dekha jo be-qarar mujhe

nigah-e-sharmagin chupke se le udi mujh ko
pukarta hi raha koi bar bar mujhe

nigah-e-mast ye meyar-e-be-khudi kya hai
zamane wale samajhte hain hoshiyar mujhe

baja hai tark-e-talluq ka mashwara lekin
na ikhtiyar unhen hai na ikhtiyar mujhe

bahaar aur ba-qaid-e-khizan hai nang mujhe
agar mile to mile mustaqil bahaar mujhe


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close