girya dil ko na su-e-chashm bahao dubti hai bhanwar mein ja kar naw na gali apni wan kabhi khichdi nit pakate rahe khayali polaw dil hai ai nala jun kabab-e-waraq aanch kam de ye kha na jae taw bosa lete mein kat khate ho kya tumhaara bura pada hai subhaw ji pe yan ban rahi hai ye to kaho aaj kidhar chale ho kar ke banaw kyun ke rakhkhun qadam gali mein teri wan to padta nahin hai apna hawaw aatish-e-meada ko nahin seri jun jahannam kare hai law hi law dil jo main gum kiya to tum ko kya yaro is baat ka karo na chuwaw thi shab-e-wasl par khayal ke sath hum ne dil se nikale kya kya chao dah-e-dil hai talluqe mein tere khwah ujad kar is ko khwah basao marham-e-lutf munh na modiyo to abhi aale hain sab jigar ke ghao ye zamin bhi hai turfa mani-khez 'mushafi' ek ghazal to aur sunao