git mere hain magar nur-e-sukhan us ka hai haq to ye hai ki mera jauhar-e-fan us ka hai phul to phul hain kanton ki rawish bhi us ki baghban kuchh bhi kahe rang-e-chaman us ka hai sabz mausam ki mere dar pe jo dastak jagi main ne jaana ki yahi tarz-e-sukhan us ka hai mauj-e-gul baad-e-saba rang-e-chaman aab-e-rawan sare aalam mein agar hai to chalan us ka hai us ki pahchan faqat koh-o-samundar se nahin zarra-e-khak bhi khurshid-e-watan us ka hai is se kya farq pade tarz-e-nawa-sanji par hamd us ki hai labon par ki bhajan us ka hai main yam-e-waqt mein bahta hua tinka 'nami' ye zamin us ki tamasha-e-zaman us ka hai