go chahta tha bahut par ye mujh se ho na saka main arz-e-dil mein mohabbat ka bij bo na saka bhanwar mein yun to meri naw barha aai magar hawas ka samundar mujhe dubo na saka sada-e-gumbad-e-be-dar hun qaid hun kab se main apne aap mein koi sada samo na saka main mah-o-sal ke resham se narm dhage mein tumhaari yaad ke moti kabhi piro na saka bichhadte waqt wo roya lipat ke mujh se bahut ajab sitam hai ki main phir bhi khul ke ro na saka ajib shor utha tha hawas ke dariya mein magar main shor mein aawaz apni kho na saka bahut se yun to mujhe ham-safar mile 'akhtar' magar koi bhi mere gham ka bojh dho na saka