go sudh nahin us shokh sitamgar ne sambhaali tis par bhi koi baat ada se nahin khali kuchh hosh nahin mujh mein raha jab se pilai us nargis-e-makhmur ki saqi ne pyali shabnam ke araq mein hua khajlat siti gul-e-tar dekhi jo lab-e-lal ki us shokh ke lali we ghair hi hain jin ki har ek baat ho sunte hum ne to jo kuchh arz ki so sunte hi tali tausif koi kar sake kya ai 'shah-e-alam' rutba hai tere sher ka guftar se aali