gudaz-e-dil se mila sozish-e-jigar se mila jo qahqahon mein ganwaya tha chashm-e-tar se mila talluqat ke ai dil hazar pahlu hain na jaane mujh se wo kis nuqta-e-nazar se mila kabhi thakan ka kabhi faslon ka rona hai safar ka hausla mujh ko na ham-safar se mila main dusron ke liye be-qarar phirta hun ajib dard mujhe mere chaara-gar se mila har inqalab ki tarikh ye batati hai wo manzilon pe na paya jo rahguzar se mila na main ne soz hi paya na istaqamat hi hajar hajar ko tatola shajar shajar se mila 'hafiz' ho gaya aakhir ajal se ham-aghosh tamam shab ka sataya hua sahar se mila