gudaz tak hi kharabi hunar sambhaalega ye khak-e-sokhta kab kuza-gar sambhaalega khatar-pazir hun us be-dili mein girya bhej ye zalzala hi mere baam-o-dar sambhaalega tu hi to ek sadaf-e-dil ki aabru hai magar ye aab kitne dinon tak guhar sambhaalega ye dekhna hai ki tufan-e-regzar mein tu zamam-e-samt ki zad-e-safar sambhaalega girani-e-shab-e-khamosh-e-be-hisab ke baad hisab jitna hai murgh-e-sahar sambhaalega milao ishq mein kuchh ranj-e-rozgar se aab bahut na baada-e-khalis jigar sambhaalega