guftar mein wo apni bebak ho gaya hai jaise ki har kami se wo pak ho gaya hai aankhon ki putliyon mein thahra wahi hai manzar jis se ki dil hamara sad-chaak ho gaya hai rakhna padega phir bhi hum ko bharam wafa ka mana ki jalte jalte dil khak ho gaya hai rakkhun main kaise aakhir zakhmon pe apne marham har gham mere badan ki poshak ho gaya hai kahne ko hum se bichhda ek shakhs 'fauziya' par mahaul kyon ye sara namnak ho gaya hai