gul-ezar aur bhi yun rakhte hain rang aur namak par mere yar ke chehre ka sa dhang aur namak husn us shokh ka hai bas ki malih us ki nigah dil pe karte hain mere kar-e-khadang aur namak ghuncha-e-gul mein wa bulbul mein hui be-mazagi dekh gulshan mein dahan yar ka tang aur namak dard-e-hijran se ba-tang aapi hun naseh se kaho zakhm par mere na chhidke ye dabang aur namak sukhan-e-waz-o-nasihat dil-e-pur-khun ko 'huzur' yun hai jyun shisha-e-mai ke liye sang aur namak