gul ko khushbu chand ko uslub-e-tabani mile mere jazbe se jahan ko husn-e-lafani mile ujli ujli si faza mein rang bikhre pyar ka husn-karon ko mera ehsas-e-tabani mile dew-qamat paikaron se dil mera ghabra gaya ab to yarab aam si ek shakl-e-insani mile is hujum-e-ranj-o-gham mein ek zara sa zahr bhi zindagi ko is tarah se shayad aasani mile allah allah zindagi mein inkisari ka ye rup ahl-e-nakhwat ko bhi hum ba-khanda peshani mile waqt ke katbe pe 'shakir' nam ho kanda tera ahl-e-duniya ko koi tahrir lafani mile