gul muraqqa hain tere chaak garebanon ke shakl mashuq ki andaz hain diwanon ke na rukenge dar-o-diwar se zindanon ke khud-bakhud panw uthe jate hain diwanon ke peng wahshat mein badhe hain tere diwanon ke ab bayaban bhi unhen sahn hain zindanon ke ek kya jin ke har ek zarre mein gum hon sau hashr hum bagule bane aise kai maidanon ke kaba-o-dair mein hoti hai parastish kis ki mai-parasto ye koi nam hain mai-khanon ke kuchh is andaz se aa baithe hain wo shama ke pas dekh kar dur se par jalte hain parwanon ke le gaya aap ke diwanon ko sauda-e-bahaar dar-o-diwar hain tute hue zindanon ke jam hai tauba-shikan tauba meri jam-shikan samne dher hain tute hue paimanon ke hath kyun khinch liya pher ke khanjar tu ne sar jagah se nahin uthte hain giran-jaanon ke dar se badhne nahin deta hai mujhe zauq-e-sujud main hun naqsh-e-kaf-e-pa hain teri darbanon ke nahin ginti main magar bazm-e-sukhan hai raushan aaj main shama hun majmea mein sukhan-danon ke qatre hain kausar-o-tasnim kaf-e-saqi mein khum-e-aflak to paimane hain mai-khanon ke wusat-o-zat mein gum wahdat-o-kasrat hai 'riyaz' jo bayaban hain wo zarre hain bayabanon ke wah kya nama-e-amal hain diwanon ke ki farishte liye tukde hain garebanon ke hosh udte hue dekhe nahin insanon ke lutf mai-khanon mein aate hain pari-khanon ke naqsh-e-pa rah nahin sakte tere diwanon ke ai junun sahn bahut tang hai zindanon ke par-e-parwaz bane khud sharar-e-shama kabhi sharar-e-shama bane par kabhi parwanon ke apne kuche mein jo dekha to wo hans kar bole chhanne wale kahan aae bayabanon ke zikr kya ahl-e-junun ka ki jab aati hai bahaar wo to wo rang badal jate hain zindanon ke aaj but baithe hain taqdir ke malik ban kar ab jo likkha ho muqaddar mein musalmanon ke baam tak tere zariya hai rasai ki yahi dur se jhuk ke qadam lun tere darbanon ke un ke bikhre hue gesu nahin hatte rukh se aaj nikle hain wo jhurmut mein nigahbanon ke sath walon mein mere kohkan-o-qais bhi hain mere qisse nahin tukde koi afsanon ke chashm-e-yaqub bane halqa-e-zanjir ki aankh kabhi taqdir se din phirte hain zindanon ke ghairat-e-haq ko ho kya josh jab aamal ye hain kam hai jo kuchh ho muqaddar mein musalmanon ke dur se dekh ke phirna wo mera ulte panw uf wo badle hue tewar tere darbanon ke mah-o-anjum se tapakta hai yahi raaton ko un mein tute hue saghar bhi hain mai-khanon ke inhen thukraate chalo hashr mein lutf aaega inhin qabron mein hain mare hue armanon ke nikli jati hai zamin panw ke niche se 'riyaz' kyun dua ko na uthen hath musalmanon ke