gulon ka rang kali ka shabab mange hai nigah-e-shauq bhi kya intikhab mange hai jo tujh se mujh se khafa ho gae hain sadiyon se nigah phir unhin lamho ka khwab mange hai kisi ko kuchh bhi nahin mil saka zamane mein jise mila hai wo kyon be-hisab mange hai ab is se badh ke taraqqi ka daur kya hoga haram mein baith ke zahid sharab mange hai ab aisi zid ka bhala kya ilaj hoga 'ziya' wo mahtab hai aur aaftab mange hai