gulon ko chhu ke shamim-e-dua nahin aai

gulon ko chhu ke shamim-e-dua nahin aai
khula hua tha daricha saba nahin aai

hawa-e-dasht abhi to junun ka mausam tha
kahan the hum teri aawaz-e-pa nahin aai

abhi sahifa-e-jaan par raqam bhi kya hoga
abhi to yaad bhi be-sakhta nahin aai

hum itni dur kahan the ki phir palat na saken
sawad-e-shahr se koi sada nahin aai

suna hai dil bhi nagar tha rasa basa bhi tha
jala to aanch bhi ahl-e-wafa nahin aai

na jaane qafile guzre ki hai qayam abhi
abhi charagh bujhane hawa nahin aai

bas ek bar manaya tha jashn-e-mahrumi
phir is ke baad koi ibtila nahin aai

hatheliyon ke gulabon se khun rista raha
magar wo shokhi-e-rang-e-hina nahin aai

ghayur dil se na mangi gai murad 'ada'
barasne aap hi kali ghata nahin aai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close