gulon ko rang sitaron ko raushni ke liye khuda ne husn diya tum ko dilbari ke liye tumhaare ru-e-munawwar ki zau mein dub gaya falak pe chand jo nikla tha hamsari ke liye sanam hazaron nae pattharon ke andar hi tadap rahe hain abhi fann-e-azari ke liye are o barq-e-tapan phunk de nasheman ko taras raha hun gulistan mein raushni ke liye rah-e-wafa mein mera kaun hai jo har su se ghubar-e-rah uthi hai payambari ke liye nikal pada hai junun tham kar ke dast-e-wafa ek ajnabi ka sahaara hai ajnabi ke liye jahan pe ishq ko sauda-e-gharz ho ai 'wahid' wahi maqam hai ulfat mein khud-kushi ke liye