gulshan-gulshan zikr hai un ka

gulshan-gulshan zikr hai un ka
mahfil-mahfil charcha hai

jab se shahar mein aae hain wo
hangama sa barpa hai

aankhen jaise gul nargis ke
chaal ghazalon jaisi hai

chehra dekh ke socha sab ne
chand zamin par utra hai

phiki hai muskan kali ki
un ke tabassum ke aage

komal komal se galon ka
rang shafaq se gahra hai

sab se sundar lagti hai wo
jo nadida surat hai

har ek aankh tiki hai us par
jis chehre par parda hai

bholi-bhaali sab se nyari
suratiya wo pyari pyari

aankhen tak-tak thak jati hain
lekin dil kab bharta hai

us ne hi sab dard diye jo
dhal-dhal kar hain git bane

ik-ik she'r 'sada' hai us ka
ik-ik naghma us ka hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close