gulshan ki faqat phulon se nahin kanTon se bhi zinat hoti hai

gulshan ki faqat phulon se nahin kanton se bhi zinat hoti hai
jine ke liye is duniya mein gham ki bhi zarurat hoti hai

har sham-o-sahar qurban jis par duniya-e-masarrat hoti hai
wo paikar-e-rahat kya jaane kaisi shab-e-furqat hoti hai

ai waiz-e-nadan karta hai tu ek qayamat ka charcha
yan roz nigahen milti hain yan roz qayamat hoti hai

karna hi padega zabt-e-alam pine hi padenge ye aansu
fariyaad-o-fughan se ai nadan tauhin-e-mohabbat hoti hai

wo pursish-e-gham ko aae hain kuchh kah na sakun chup rah na sakun
khamosh rahun to mushkil hai kah dun to shikayat hoti hai

ai dost judai mein teri kuchh aise bhi lamhe aate hain
sejon pe bhi tadpa karta hun kanton pe bhi rahat hoti hai

jo aa ke ruke daman pe 'saba' wo ashk nahin hai pani hai
jo ashk na chhalke aankhon se us ashk ki qimat hoti hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close