gulu-e-yazdan mein nok-e-sinan bhi tuti hai kashakash-e-dil-e-paigham-baran bhi tuti hai sarab hai ki haqiqat nazara ki fareb yaqin bhi tuta hai tarz-e-guman bhi tuti hai siyasat-e-dil-aina chur chur to thi siyasat-e-dil-e-ahan-garan bhi tuti hai andheri raat ka ye nim-baz sannata gulon ki sans rag-e-gulsitan bhi tuti hai tumhaare jism ka suraj jahan jahan tuta wahin wahin meri zanjir-e-jaan bhi tuti hai kahan hain aalam-e-imkan wajud mein aaen nazar nazar hi rahi hai jahan bhi tuti hai shikast-o-rekht zamane ki khub hai 'makhdum' khudi to tuti thi khu-e-butan bhi tuti hai