guman mehr-e-daraKHshan ka hua hai ru-e-raushan par

guman mehr-e-darakhshan ka hua hai ru-e-raushan par
tajjub ek aalam ko hai kya kya un ke joban par

padhi jab fatiha to padhte padhte hans diya goya
girai aap ne bijli jab aae mere madfan par

hamara dil dukhana kuchh hansi ya khel samjhe ho
samajh pakdo jawan ho ab na jao tum ladakpan par

sukhan ko aap ke ai hazrat-e-dil kis tarah manun
kisi ko eatibar aata nahin hai qaul-e-dushman par

hamari aankh se girte nahin ye ashk ke qatre
nichhawar karte hain moti tumhaare ru-e-raushan par

nazar mein jaise 'shirin' ke tumhaara ru-e-raushan hai
nahin padti hai aankh us ki gul-e-shadab-e-gulshan par


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close