gumbad-e-madfan hai ya hai aasman baala-e-sar ye makin rakhte hain sab apne makan baala-e-sar yun liye hon hashr mein bar-e-garan baala-e-sar dosh par khum hai gunah ki gathriyan baala-e-sar chhoti si kashti bana hai aasman baala-e-sar sail-e-ashk is tarah chashm-e-khun-fishan baala-e-sar zer-e-masjid mai-kada main mai-kade mein mast-e-khwab chaunk utha jab di moazzin ne azan baala-e-sar hum hain soe saya-e-gul mein nahin itna khayal ai anadil is tarah shor-e-fughan baala-e-sar nakhl-e-gul ki tarah diwanon se bhi manus hain lete hain bulbul jagah ai baghban baala-e-sar ye nirali teri khilqat shama us par husn bhi hum ne dekhi ek teri hi zaban baala-e-sar khush kiya yun bagh mein la kar mujhe sayyaad ne shakh ke niche qafas hai aashiyan baala-e-sar bechte phirte hain mai hum is tarah raste gali ja-e-khum chhoti si hai mai ki dukan baala-e-sar rahm kar malik ki main do do farishte bhi lade aur phir isyan ka bhi bar-e-garan baala-e-sar pichhe pichhe karwan ke hum thake-mande hain yun panw mein chhaale hain gard-e-karwan baala-e-sar panw ke niche se nikli jati hai yarab zamin kha rahe hain chakkar itne aasman baala-e-sar main wo hun mahshar ke pyason ko pilaun tau sahi hauz-e-kausar hoga ai pir-e-mughan baala-e-sar aatish-e-rang-e-hina-o-zulf-e-pechan dekhiye aag talwon mein lagi nikla dhuan baala-e-sar lene jata hai haram se kya kahin tum ko 'riyaz' taq par rakkhi hai botal mehrban baala-e-sar