gunahgar hun aisa rah-e-najat mein hun main khud charagh-ba-kaf har andheri raat mein hun shuur gum hua diwangi hai khoi hui khuda hi jaane main kis manzil-e-hayat mein hun tajalli-e-pas-e-parda zara tawaqquf kar abhi to garm-e-nazar bazm-e-mumkinat mein hun sawal ek nazar ka hai rad na kar ai dost gada-e-khak-basar rah-e-iltifat mein hun harif-e-jalwa bhi ek roz hunga sabr karo abhi to apni bahisht-e-tasawwuraat mein hun hai teri yaad ka aalam bhi kitna dil-awez samajh raha hun kisi aur kaenat mein hun kisi ke dil ka sukun hun kisi ke dil ki khalish zamir-e-waqt hun aur qalb-e-kaenat mein hun hai mere hath mein bhi dil ka ek bujha sa diya kuchh aansuon ki sajai hui baraat mein hun hun khud hi aaina-e-haal kya bataun 'siraj' main kis ka naqsh-e-qadam arsa-e-hayat mein hun