gungi chikhen banjh bhuk aur is bebas sannate mein hum ne apni ghazlen khojin chulhe chauke aate mein sab par ek ek subh lutane hum suraj le baithe the apna kya hai jo na aae wo hi rah gae ghate mein mahak uthe tere chhune se hum par sab ko yahi laga chandan ki bhi ruh chhupi hai is babul ke kante mein chor-uchakkon ke jai-karon se gunje un ke daure aksar jeben katin hamari un ke sair-sapate mein aazadi ki khat pe soi khadi ki ujli ninden ganw ki dab gai siskiyan dilli ke kharrate mein jahan kahin bhi kalak dekhi hum ne to bas war kiya par logon ko ghazal nazar aati hai apne chante mein