guzarish kar saba khidmat mein tu us la-ubaali ke tere jaane se gul murjha gae hain naqsh-e-qali ke mere aaghosh jab se uth gaya hai to main rota hun nahin thamte hain ashk-e-chashm taswir-e-nihaali ke main be-khud hun mujhe mazur rakh rone mein ai saqi meri chhati bhari hai dard se mina-e-khali ke tasawwur mein tasadduq mein hun main us shama-ru upar hain goya 'ishq' hum taswir-e-fanus-e-khayali ke