guzishta shab jo itni raushni thi

guzishta shab jo itni raushni thi
tumhaari yaad ki jalwagari thi

faza mein gungunahat thi ajab si
hawa patton se baaten kar rahi thi

ghazal jaisa sarapa tha kisi ka
koi surat mukammal shairi thi

tere alfaz nishtar ban gae the
mohabbat intiha par aa gai thi

suna hai baad mere kuchh dinon tak
wo mitti par lakiren khinchti thi

wo gahe ab palat kar dekhti hai
koi ek baat kahna rah gai thi

wahi hum hain wahi tira-shabi hai
mohabbat chaar din ki chandni thi

labon par qahqahe hi qahqahe the
koi ladki thi ya wo phuljadi thi

koi dil mein achanak aa basa tha
mohabbat ki nahin thi ho gai thi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close