guzra jidhar se rah ko rangin kar gaya jugnu ek aaftab ki tauhin kar gaya kis ne bithaya mujh ko sar-e-masnad-e-sinan ye kaun mere jism ki tazin kar gaya ashkon ne zakhm zakhm ko andar se dho diya ye gham tera to ruh ki taskin kar gaya ye kis ki khamushi se hai nabz-e-jahan ruki ye kaun kaenat ko ghamgin kar gaya aaya tha le ke zist mein daulat sukun ki jate hue qarar mera chhin kar gaya ye gam gam aaine kis ne bichha diye ye kaun gam gam ko khud-bin kar gaya tohmat mere wajud ko chhu kar palat gai samjha tha wo ki zat ki taskin kar gaya ai kushtgan-e-ishq bharam hai ye ishq ka rakhna ye jeb chaak wo talqin kar gaya 'tahir' har ek baat mein jis ki mithas thi bichhda to zindagi ko wo ghamgin kar gaya