guzra udasiyon mein hi jiwan tamam hai lab par hamare phir bhi tumhaara hi nam hai tere baghair hum se hai mausam khafa khafa khamoshiyon ko odhe hue baithi sham hai majburiyon ki jail mein hai qaid wo kahin warna to mere pyar ko karta salam hai tere siwae dil mein kisi ka guzar nahin yaadon ne teri aisa kiya intizam hai ashkon ki raushnai se main ne hai jo likha chhaya har ek dil pe 'sikhar' wo kalam hai