guzre dinon ka zikr hua aur virani ki baat chali ek muddat se khushk thin aankhen phir pani ki baat chali us ki gali se shoala uttha mere ghar mein aag lagi jalne ka to zikr nahin tha tabani ki baat chali mushkil manzar dekhte rahna us ki purani aadat thi mushkil se is chashm ke aage aasani ki baat chali baadal aae hawa chali aur bahar mausam badal gaya dil ke bahte dariya mein bhi tughyani ki baat chali mayusi ke patthar se ek aas ka chashma phut baha aas ke bahte pani mein phir hairani ki baat chali raushan ho gain sari galiyan sab darwaze chamak uthe jab se 'amir' shahr mein us ki mehmani ki baat chali