guzri thi ek bar jo dil ki gali se main do-chaar aaj bhi hun usi be-kali se main be-zar is qadar hun gham-e-ashiqi se main mujh se zara khafa hai khushi aur khushi se main nikli hun jab se dhundne be-laus chahaten dhoka hi kha rahi hun badi sadgi se main madum us ki aankh se pahchan ho gai jaise ki mill rahi thi kisi ajnabi se main jins-e-wafa jahan mein nayab kyon hui ro ro ke puchhti rahi har aadmi se main apni khushi se waise basar to na kar saki naraaz bhi nahin hun magar zindagi se main main ne bhi saf lafzon mein gham se ye kah diya pichha chhuda ke aai hun afsurdagi se main mai-khana chal ke rind ka khud puchhta hai haal manus is tarah se hun ab mai-kashi se main jam-o-subu nahin teri aankhon se ab pila ai saqi mar na jaun kahin tishnagi se main