haal dil ka use jatana kya na sune jo use sunana kya aae jab aage aise zalim ke jaur-e-gardun se munh chhupana kya hum se chalta hai tedh ki ai lo ho gaya hai falak diwana kya sarfaroshon ki hai ye ain murad ku-e-qatil mein ja ke aana kya puchhte kya ho maskan-e-ashiq be-gharon ka aji thikana kya jaan-o-dil le ke ab khafa hai kyun hum ne kahna tera na mana kya dil-e-khud-rafta ka ilaj kare koi nadan aur dana kya le ke dil jo ki dushman-e-jaan ho 'aish' aise se dil lagana kya