haal-e-poshida khula saman-e-ibrat dekh kar padh liya qismat ka likkha lauh-e-turbat dekh kar is qadar be-khud hua aasar-e-wahshat dekh kar aaina se nam puchha apni surat dekh kar dekhiye mahshar mein bhi surat dikhae ya nahin subah bhagi hai shab-e-hijran ki zulmat dekh kar jam-e-kausar dast-e-saqi mein nazar aaya mujhe uth gaya aankhon ka parda abr-e-rahmat dekh kar raat din ke makhmase se ai junun pai najat ablaq-e-ayyam bhaga meri wahshat dekh kar tere kuche mein tera jalwa nazar aaya mujhe sane-e-jannat ko dekha bagh-e-jannat dekh kar munh hamara jalwa-e-didar ke laeq kahan apni surat dekhte hain teri surat dekh kar chaar diwar-e-anasir par safedi phir gai aankhen raushan ho gain teri sabahat dekh kar wahshat-e-dil hashr ke din bhi rahe kawus talab kante dhundhe hum ne sahra-e-qayamat dekh kar chahchahe bulbul ke aawaz-e-kaf-e-afsos hon rang-e-gul ud jae mera dagh-e-hasrat dekh kar abr udhar aaya idhar mai-khwaron ka beda hai par kashti-e-mai mol ke dariya-e-rahmat dekh kar aansu ponchhe yaad aaya jab jawani ka maza aankhen malte rah gae hum khwab-e-rahat dekh kar barahman kaba mein aaya shaikh pahuncha dair mein log be-wahdat hoe hain teri kasrat dekh kar har ghadi aati hai kanon mein ye aawaz-e-jaras kaun duniya se safar karta hai saat dekh kar nashsha ke asbab-e-tazin mein bhi nashsha hai zarur meri aankhen chadh gain mai-khane ki chhat dekh kar ab nahin nazuk-mizaji se tawajjoh ka dimagh ai ajal aana kabhi hangam-e-fursat dekh kar wo muwahhid hun na rakkha dusre se ittihad ruh ne chhoda badan ko zidd-e-wahdat dekh kar khun-e-bulbul se magar sincha hai bagh-e-dahr ko hum lahu barsate hain phulon ki rangat dekh kar tere bande sar jhukate hain buton ke samne sajde karta hun ilahi teri qudarat dekh kar zakhmi-e-tegh-e-taghaful par nazar jamti nahin chashm-e-sozan band hoti hai jarahat dekh kar ji laga kar ye ghazal kis tarah kahiye ai 'munir' bujh gaya dil kuch-e-manzil ki azimat dekh kar