haal na puchho roz-o-shab ka koi anokhi baat nahin din ko kaise raat kahen hum raat bhi ab to raat nahin lagne ko to sehn-e-chaman mein donon achchhe lagte hain kanton mein jo apna-pan hai phulon mein wo baat nahin dil se bhula to den hum un ko lekin is ko kya kije sadiyon ki rudad bhulana apne bas ki baat nahin gulshan gulshan shakh o shajar par roz nasheman jalte hain kis ne kaha tha mausam badla agle se haalat nahin ek zara si baat pe kyun hai itna hangama 'mumtaz' shisha-e-dil hi to tuta hai aur to koi baat nahin