haal puchhe jo koi mera bata bhi na sakun kya qayamat hai ki main hont hila bhi na sakun uf ye majburi-e-ayyam ka aalam hamdam rah-guzaran-e-shab-e-gham ko jaga bhi na sakun ai junun haif meri sokhta-samani par waqt ko maut ki ta۔bir bata bhi na sakun sochta hun rawish-e-kham pe matam kar lun bijliyan aaen to sine se laga bhi na sakun thahar ja gardish-e-dauran ki main aisa to nahin barq ki zad ye nasheman jo bana bhi na sakun ab to allah nigahban hai wafa keshon ka chot khai hai kuchh aisi ki dikha bhi na sakun dil-shikasta hun bahut gardish-e-dauran hai magar us se kat kar koi kashana bana bhi na sakun kitni majburi hai ai dost ki gham-khwaron ko gham-e-ayyam ki tafsil bata bhi na sakun kitni baaten hain sunane ki magar ai 'nazish' hae chahun jo sunana to suna bhi na sakun