haalat ke dariyaon mein khatre ke nishan tak chal paenge kya aap mere sath wahan tak main mulk-badar sabr bhi kar sakti thi lekin ye dekhna tha zulm ki sarhad hai kahan tak khuddar tabiat ko guzarti hai giran-bar jab tishna-labi jati hai khud aab-e-rawan tak hum jurat-e-izhaar ke us daur se guzre jis daur mein alfaz ki kanti thi zaban tak ta-hadd-e-nazar bahta tha ek samt samundar ek samt magar pyas se ainthi thi zaban tak