had se baDha jo zom mah-o-aftab mein

had se badha jo zo'm mah-o-aftab mein
surat teri banai khuda ne jawab mein

nazan na ho tu apne sitaron pe ai falak
hain dafn aaftab hazaron turab mein

hai kaun se gunah ki ai shaikh ye saza
kati hai 'umr tu ne jo fikr-e-azab mein

aankhon se ab pila ke uda hosh saqiya
dala tha kis se puchh ke pani sharab mein

padhta hun main namaz sada dil mein jhank kar
sari hain suraten mere dil ki kitab mein

jannat mein mai-gusar jahannum mein shaikh ji
ghalati kahin hui hai farishto hisab mein

piri mein rog 'ishq ka mat pal ai 'sada'
karna tha dost kaam ye 'ahd-e-shabab mein


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close