hadis-e-dard ko aakhir bayan to hona tha jo karb dil mein chhupa tha ayan to hona tha wo pas rahte hue faslon ka qail tha is ehtimam ko phir dastan to hona tha zamin ka taj tha wo shakhs apni hasti mein zamin se badh ke use aasman to hona tha dukhon ki dhup ke is daur-e-be-murawwat mein mujhe kisi ke liye saeban to hona tha tujhe ye kis ne kaha tha hisab mang us se ab aisi baat pe jaan ka ziyan to hona tha jahan sabhi the wahan par nahin tha main lekin jahan koi bhi nahin tha wahan to hona tha jo main na hota sar-e-dar dusra hota kisi ko khalq-e-khuda ki zaban to hona tha wo khud pasand jafa-kar shakhs tha 'anwar' natijatan use be-karwan to hona tha