hadse zist ki tauqir badha dete hain ai gham-e-yar tujhe hum to dua dete hain tere ikhlas ke afsun tere wadon ke tilism tut jate hain to kuchh aur maza dete hain ku-e-mahbub se chup-chap guzarne wale arsa-e-zist mein ek hashr utha dete hain han yahi khak-basar sokhta-saman ai dost tere qadmon mein sitaron ko jhuka dete hain sina-chaakan-e-mohabbat ko khabar hai ki nahin shahr-e-khuban ke dar-o-baam sada dete hain hum ne us ke lab o rukhsar ko chhu kar dekha hausle aag ko gulzar bana dete hain