hae kis anjuman-e-naz se to aati hai

hae kis anjuman-e-naz se to aati hai
ai saba tujh se mujhe rashk ki bu aati hai

tu ne betabi-e-dil aur bhi betab kiya
yaad tujh se mujhe us shokh ki khu aati hai

itne dam-kham bhi hain ya dam hi diye jate hain
aap ki tegh kabhi ta-ba-gulu aati hai

un ke bimar se kya tujh ko sarokar ai maut
tujh pe marta nahin kambakht jo tu aati hai

haram-e-khas ka karti hai wahi jaan tawaf
aab-e-shamshir se jo karke wuzu aati hai

kabhi aankhen bhi malenge kaf-e-pa se un ke
abhi ja ja ke nigah panw ko chhu aati hai

tegh khinchi hai to ab aap khinche baithe hain
jaan khinch khinch ke yunhi ta-ba-gulu aati hai

gul-e-ummid se bharta hai falak yun daman
aarzu aankh se ho ho ke lahu aati hai

tum achhute sahi aaghosh-e-tasawwur mein to ho
na chhuen hum nigah-e-shauq to chhu aati hai

munh se ab tak to nikalta tha dhuan aah ke sath
dil ke jalne ki bhi ab der se bu aati hai

zarf hai shart nahin himmat-e-saqi mein kalam
ek do jam se naubat ye subu aati hai

bazm-e-ahbab ko karna na pareshan ai 'yas'
har sukhan se tere ab dard ki bu aati hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close