hae ye kaisa sitam ai sitam-ijad kiya

hae ye kaisa sitam ai sitam-ijad kiya
dil to ghar tha tera phir kyon ise barbaad kiya

kar liya jazb sitaron ne mere ashkon ko
main ne jab ro ke shab-e-hijr unhen yaad kiya

dekh wo ho gae ab aur bhi barham ai dil
tu ne kambakht ye kyon wa lab-e-fariyaad kiya

tere inkar ne wallah qayamat dhai
qasr-e-ummid-o-tamanna mera barbaad kiya

hichkiyan aane lagin naza' mein kyon mujh ko 'habib'
aakhiri waqt pe ye kis ne mujhe yaad kiya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close