hai ab to ye dhun us se main aankh lada lunga aur chum ke munh us ka sine se laga lunga gar tir lagawega paiham wo nigah ke to main us ki jarahat ko hans hans ke utha lunga dil jate udhar dekha jab main ne 'nazir' us ko roka are wo tujh ko lega to main kya lunga wan abru-o-mizhgan ke hain tegh-o-sinan chalte tuk soch to main tujh ko kis kis se bacha lunga pad jawegi jab shah wo ai dil to bhala phir main kya aap ko thamunga kya tujh ko sanbhaalunga