hai ajib rishta-e-gum-shuda ki jise khanDar ne bhula diya

hai ajib rishta-e-gum-shuda ki jise khandar ne bhula diya
kahin zindagi hui khema-zan kahin baam-o-dar ne bhula diya

kise bhulna tha nasib mein kise bhulne ka tha faisla
kise yaad rakhna tha umr bhar kise chashm-e-tar ne bhula diya

wo jo be-nishan se log the wahi manzilon ka nishan hue
jise rahguzar ki khabar hui use rahguzar ne bhula diya

wo zaruraton ka malal tha to ye hijraton ka sawal hai
wo jo apni mitti se kat gae unhen kis safar ne bhula diya

thi jo aag dil mein lagi hui wo bhi rafta rafta dhuan hui
tha jo lams mazi-o-haal ka use fitna-gar ne bhula diya

jo raqam hui sar-e-dastan pas-e-dastan bhi nahin hui
tha jo ramz harf-e-kamal ka wo fasana-gar ne bhula diya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close