hai aur baat bahut meri baat se aage

hai aur baat bahut meri baat se aage
zamin zarra hai is kaenat se aage

ek aur silsila-e-hadsat hai raushan
is ek silsila-e-hadsat se aage

hawa-e-aks-e-bahaar-o-khizan nahin hai faqat
agar nigah karo phul pat se aage

ye hum jo pet se hi sochte hain sham o sahar
kabhi to jaenge is dal-bhat se aage

kuchh aur tarah ke atraf muntazir hain kahin
uthaen zahmat agar shash-jahat se aage

na rok pae taghayyur ki tez tughyani
jo band bandhne aae sabaat se aage

kuen mein baith ke hi tartara gae kuchh din
nazar pada nahin kuchh apni zat se aage

is aab o rang se bahar bhi ek tamasha hai
chale-chalo jo nazar ki sifat se aage

'zafar' ye din to natija hai raat ka yaksar
kuchh aur dhundta rahta hun raat se aage


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close