hai barham phir mizaj un ka dil-e-nakaam kya hoga yahi surat rahi to ishq ka anjam kya hoga khalish dil mein jigar mein dard lab par mohr-e-khamoshi ye surat hai to phir mujh ko bhala aaram kya hoga ye bazm-e-naz hai ai dil yahan behtar hai khamoshi suna kar un ko apna qissa-e-alam kya hoga yahi hai zohd ka aalam to phir ai hazrat-e-naseh sharab-e-hauz-e-kausar ka chhalakta jam kya hoga abhi se aankh mein aansu hain lab par aah dil mein dard ye aaghaz-e-mohabbat hai to phir anjam kya hoga khudara ye bhi socho ai chaman ke chhodne walo hain jo sahn-e-chaman mein in ka ab anjam kya hoga koi badnam ho jae to is ko bhi bahut samjho hai ye duri khudi is mein kisi ka nam kya hoga abhi to shab hai aao pyar ki baaten karen hum tum abhi se kyun ye sochen subh ka paigham kya hoga jidhar dekho udhar zulmat nazar aati hai ai 'kashfi' sahar ka rang hai jab ye to rang-e-sham kya hoga